اردو हिंदी
Sanware aaKHirat ya zindagi ko | Shaahi Shayari
sanware aaKHirat ya zindagi ko

Ghazal

Sanware aaKHirat ya zindagi ko

Parveen Fana Syed

;

sanware aaKHirat ya zindagi ko
kahan itni bhi mohlat aadmi ko

bujhai aansuon ne aatish-e-gham
magar bhaDka diya hai be-kali ko

bharam khul jaega danaiyon ka
pukaro to zara diwangi ko

jo sar jhukta nahin hai dil to jhuk jae
faqat itni talab hai bandagi ko

jo dil se phuT kar aankhon mein chamke
taraste rah gae hum us hansi ko