sanwar nok-palak abruon mein KHam kar de
gire paDe hue lafzon ko mohtaram kar de
ghurur us pe bahut sajta hai magar kah do
isi mein us ka bhala hai ghurur kam kar de
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas baDe de sharab kam kar de
chamakne wali hai tahrir meri qismat ki
koi charagh ki lau ko zara sa kam kar de
kisi ne chum ke aankhon ko ye dua di thi
zamin teri KHuda motiyon se nam kar de
Ghazal
Sanwar nok-palak abruon mein KHam kar de
Bashir Badr