sannaTa tufan se siwa ho ye bhi to ho sakta hai
ye kuchh aur baDa dhoka ho ye bhi to ho sakta hai
zabt-e-junun se andazon par dar to band nahin hote
tu mujh se baDh kar ruswa ho ye bhi to ho sakta hai
rahne de ye harf-e-tasalli meri himmat past na kar
nakaami hi mein rasta ho ye bhi to ho sakta hai
DhunDne wala DhunD raha hai aur andaz jafaon ke
mujh ko wafa ka zaKHm laga ho ye bhi to ho sakta hai
lao ek lamhe ko apne-ap mein Dub ke dekh aaun
KHud mujh mein hi mera KHuda ho ye bhi to ho sakta hai
mujh ko to ye eazaz bahut hai lekin teri tamanna ne
mere labon se kaam liya ho ye bhi to ho sakta hai
aaKHir apne qadmon ko kyun hum mulzim Thahraate hain
rahon ne munh moD liya ho ye bhi to ho sakta hai
mere tasawwur ne baKHshi hai tanhai ko bhi ek mahfil
tu mahfil mahfil tanha ho ye bhi to ho sakta hai
Ghazal
SannaTa tufan se siwa ho ye bhi to ho sakta hai
Akbar Ali Khan Arshi Zadah