sannaTa chha gaya hai shab-e-gham ki chap par
suraj ko tha yaqin bahut apne-ap par
wo saiqa mizaj hai main sard barf sa
hairat-zada hain log tamam is milap par
main hun fasurda sham ki afsurdagi hai aur
dhundla sa aks-e-yar hai yaadon ki bhap par
main manzilon ki justuju mein tha ba-rang-e-mauj
ab raqs kar raha hun mohabbat ki thap par
lazim ye pesh-KHema-e-afat hai 'KHayal'
beja jama nahin hain parinde alap par
Ghazal
SannaTa chha gaya hai shab-e-gham ki chap par
Rafique Khayal