sanjida tabiat ki kahani nahin samjhe
aankho mein rahe aur wo pani nahin samjhe
ek sher hua yun ki kaleje se laga hai
dariya mein utar kar bhi rawani nahin samjhe
kya KHat mein likha jae ki samjhae unhen hum
jo samne rah kar bhi zabani nahin samjhe
bachpan ko luTaya hai jawani ke liye yar
hum log jawani ko jawani nahin samjhe
pahle to kaha 'raw' koi sher sunao
phir dost meri baat ke mani nahin samjhe
Ghazal
Sanjida tabiat ki kahani nahin samjhe
Nasir Rao