اردو हिंदी
Sang-zanon ke waste phir nae raston mein hai | Shaahi Shayari
sang-zanon ke waste phir nae raston mein hai

Ghazal

Sang-zanon ke waste phir nae raston mein hai

Shahida Tabassum

;

sang-zanon ke waste phir nae raston mein hai
wahshat-e-jaan ka masala shishe ke jangalon mein hai

utri thin dasht par kabhi barg-o-samar wo aahaTen
qaht-e-sada-e-dostan phir se samaaton mein hai

jin mein nihan raha kabhi nikhat-o-gul ki qurbaten
had-e-zamin-o-asman ab inhi rabton mein hai

kisi ne zamin ke jism se fasl-e-visal chhin li
arsa-e-hashr sa bapa ruh ki khetiyon mein hai

dil se lahu ke shor tak zaKHm ka silsila rawan
shorish-e-bahr-e-be-karan aaj se phir ragon mein hai

aalam-e-be-hijabi-e-jaan ka saman kuchh aur tha
har bun-e-mu ka harf-e-dil yun to khula labon mein hai

tare se samt bhi alag naw se rah bhi juda
ramz-e-musafirat chhupa chup ke samundaron mein hai