اردو हिंदी
Sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai | Shaahi Shayari
sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai

Ghazal

Sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai

Razi Akhtar Shauq

;

sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai
ye tere shahar ka andaz-e-pazirai hai

kitna phailega ye ek wasl ka lamha aaKHir
kya sameToge ki ek umr ki tanhai hai

kuchh to yaron se mila sang-e-malamat hi sahi
kis ne is shahar mein yun dad-e-hunar pai hai

ek patthar idhar aaya hai to is soch mein hun
meri is shahr mein kis kis se shanasai hai

'shauq' jis din se charaghan hai KHayalon ki gali
jashn sa jashn hai tanhai si tanhai hai