اردو हिंदी
Sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin | Shaahi Shayari
sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin

Ghazal

Sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin

Nazm tabaa-tabaa.ii

;

sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin
apna hai us par aashiyan naKHl jo barwar nahin

sunte ho ahl-e-qafila main koi rahbar nahin
dekh raha hun tum mein se ek bhi rah par nahin

maut ka ghar hai aasman is se kahin mafar nahin
niklen to koi dar nahin bhagen to rahguzar nahin

pahle jigar par aah ka nam na tha nishan na tha
aaKHir-e-kar ye hua aah to hai jigar nahin

subh-e-azal se ta-abad qissa na hoga ye tamam
jaur-e-falak ki dastan aisi bhi muKHtasar nahin

barg-e-KHizan-rasida hun chheD na mujh ko ai nasim
zauq fughan ka hai mujhe shikwa-e-abr-e-tar nahin

munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tu aankh khol kar
hashr ki jo KHabar na de aisi koi sahar nahin

shabnam o gul ko dekh kar wajd na aae kis tarah
KHanda be-sabab nahin girya be-asar nahin

tere faqir ka ghurur tajwaron se hai siwa
tarf-e-kulah mein de shikan us ko ye dard-e-sar nahin

koshak o qasr o baam-o-dar tu ne bina kiye to kya
haif hai KHanuman-KHarab dil mein kisi ke gher nahin

nala-kashi raqib se meri tarah muhaal hai
dil nahin hausla nahin zohra nahin jigar nahin

shatir-e-pir-e-asman wah-ri teri dastburd
KHusraw o kaiqibaad ki tegh nahin kamar nahin

shan karim ki ye hai han se ho peshtar ata
lutf ata ka kya ho jab han se ho peshtar nahin

lakh wo be-ruKHi kare lakh wo kaj-rawi kare
kuchh to malal is ka ho dil ko mere magar nahin

sun ke bura na maniye sach ko na jhuT jaaniye
zikr hai kuchh gila nahin baat hai neshtar nahin