sang-e-dushnam ko gauhar jaana
hum ne dushman ko bhi dilbar jaana
nang-e-ulfat hi raha parwana
us ko aata hai faqat mar jaana
puchh lena dar-o-diwar ka haal
ai bagulo jo mere ghar jaana
sar qalam karte rahe zulm ke hath
yar logon ne muqaddar jaana
kam-nigahi ne Duboya hum ko
ek qatre ko samundar jaana
tesha-bardar ko farhad kaha
aaina-gar ko sikandar jaana
hum haqiqat mein the kohsar magar
KHud ko zarron se bhi kam-tar jaana
Ghazal
Sang-e-dushnam ko gauhar jaana
Noor Bijnauri

