sang-e-dar ban kar bhi kya hasrat mere dil mein nahin
tere qadmon mein hun lekin teri mahfil mein nahin
rah-e-ulfat ka nishan ye hai ki wo hai be-nishan
jada kaisa naqsh-e-pa tak koi manzil mein nahin
kho chuke ro ro ke ghar bahar ki sari kaenat
ashk kaise aankh mein ab KHun bhi dil mein nahin
bazm-arai se pahle dekh o nadan dekh
kaun hai mahfil mein teri kaun mahfil mein nahin
puchhta hai aarzu 'ahsan' ki tu kya bar bar
tere milne ke siwa koi hawas dil mein nahin
Ghazal
Sang-e-dar ban kar bhi kya hasrat mere dil mein nahin
Ahsan Marahravi