sang-e-be-qimat tarasha aur jauhar kar diya
sham-e-ilm-o-agahi se dil munawwar kar daya
fikr-o-fan tahzib-o-hikmat di shuur-o-agahi
gum-shudan-e-rah ko goya ki rahbar kar daya
chashm-e-faiz aur dast wo paras-sifat jab chhu gae
mujh ko miTTi se uThaya aur falak par kar diya
de jaza allah tu is baghban-e-ilm ko
jis ne ghunchon ko khilaya aur gul-e-tar kar diya
KHaka-e-taswir tha main KHali-az-rang-e-hayat
yun sajaya aap ne mujh ko ki 'qaisar' kar diya
Ghazal
Sang-e-be-qimat tarasha aur jauhar kar diya
Qaisar hayat