اردو हिंदी
Sanam ne jab lab-e-gauhar-fashan khol diye | Shaahi Shayari
sanam ne jab lab-e-gauhar-fashan khol diye

Ghazal

Sanam ne jab lab-e-gauhar-fashan khol diye

Waliullah Muhib

;

sanam ne jab lab-e-gauhar-fashan khol diye
sadaf ke mauj-e-tabassum ne kan khol diye

teri nasim-e-tabassum ne ghuncha san dil ke
jo uqde band the aanan-fan khol diye

sarishk-e-chashm ne kar shahr-e-band-e-dil ko KHarab
tamam ishq ke raaz-e-nihan khol diye

ye kis ki kawish-e-mizhgan ne dil se ta-sar-e-chashm
hazar chashma-e-ab-e-rawan khol diye

chaman chaman tere aariz ke rang-e-hasrat ne
ba-chashm-e-gul mizha-e-KHun-chakan khol diye

nikalun dil se main nale ki kis tarah aawaz
teri nigah ne ajab surma-dan khol diye

hawa-e-KHak-nashini ne be-ghubar 'muhib'
nazar mein parda-e-haft-asman khol diye