sanam kucha tera hai aur main hun
ye zindan-e-dagha hai aur main hun
yahi kahta hai jalwa mere but ka
ki ek zat-e-KHuda hai aur main hun
idhar aane mein hai kis se tujhe sharm
faqat ek gham tera hai aur main hun
kare jo har qadam par ek nala
zamane mein dira hai aur main hun
teri diwar se aati hai aawaz
ki ek baal-e-huma hai aur main hun
na ho kuchh aarzu mujh ko KHudaya
yahi har dam dua hai aur main hun
kiya darban ne sang-e-astana
dar-e-daulat-sara hai aur main hun
gaya wo chhoD kar raste mein mujh ko
ab us ka naqsh-e-pa hai aur main hun
zamane ke sitam se roz 'nasiKH'
nai ek karbala hai aur main hun
Ghazal
Sanam kucha tera hai aur main hun
Imam Bakhsh Nasikh