sanam KHush tabiyan sikhe ho tum kin kin zarifon sin
ki ye lutf-e-ada malum hota hai latifon sin
likhun wasf us ki zulfon ke qalam kar shaKH-e-sumbul kun
dawaton mein siyahi bhar gul-e-shabbu ki qifon sin
teri sidhi nigahen in dinon mein garm-e-ulfat hain
mujhe saifi lagi hai hat kai wird aur wazifon sin
KHayal is ka ham-aghosh-e-nazar hai sat pardon mein
ajab shoKHi sin pesh aaya hai ye shoKH un afifon sin
kahan pae maze ke is qadar us ne baDe koi
teri aankhon kun sau darje sharafat hi sharifon sin
hujum-e-bul-hawas ke shama-e-majlis ho so kya mani
latifon kun rawa nin iKHtilat aise kasifon sin
mizajen na-muwafiq hon to kab sohbat barar hoe
nahin milti hamari taba in duniya ke jifon sin
abas mat dekh aankhen phaD phaD in chashm-e-KHunin kun
paDa nin nargis-e-baghi tujhe kaam in harifon sin
KHas-o-KHashak-e-rah hain hum tere ai shoala-KHu zalim
munasib nin hai itni sar-kashi aaKHir zaifon sin
subuk ruhan-e-mani bu-e-gul hain bagh-e-irfan ke
har ek KHar-e-giran jaan kun KHabar kya in latifon sin
ghalat nin hai ki bulbul hafiz-e-sipara-e-gul hai
sanad rakhta hun main gul-barg ke rangin sahifon sin
raqib us sang-dil sin muntazir hain ham-kalami ke
suKHan karta hai kab wo koh-e-tamkin in KHafifon sin
sawar-e-tausun-e-mani hun chaugan-e-tabiat sin
liya hun gu-e-maidan-e-suKHan mein hum radifon sin
adib-e-ishq ke shagird hain farhad aur majnun
ki koh-o-dasht ka maktab hai garm in do KHalifon sin
'siraj' is shama kun hai shauq parwane jalane ka
dua kar ya ilahi mom dil hoe hum najifon sin
Ghazal
Sanam KHush tabiyan sikhe ho tum kin kin zarifon sin
Siraj Aurangabadi