sanam ke sanam the patthar hamari tab-e-nazar se pahle
jabin mein sajde taDap rahe the na jaane kyun sang-e-dar se pahle
tu rahzan to nahin hai puchhun main kis tarah ham-safar se pahle
sawal aisa kiya nahin hai kisi ne bhi rahbar se pahle
ajib rah-e-adam hai par KHatm har ek rahi ko hai yahi gham
ye raaz khulta nahin kisi par jahan mein azm-e-safar se pahle
ye tir aisa laga hai dil par ki dil maza us ka jaanta hai
main lazzat-e-gham se be-KHabar tha tumhaari tirchhi nazar se pahle
ye aarzu hai rahe wo qaem ki chaarasazi ka ab nahin gham
KHalish jo mahsus kar raha tha jigar main dard-e-jigar se pahle
ye aadmi hi bina-e-shar hai jo apni hasti se be-KHabar hai
gunah ka nam tak kahan tha wajud-e-nau-e-bashar se pahle
main zulmaton mein bhi dekhta tha siyah-baKHti ka apni aalam
meri nazar-e-motabar kahan thi drud-e-shms-o-qamar se pahle
Ghazal
Sanam ke sanam the patthar hamari tab-e-nazar se pahle
Shauq Bijnori