اردو हिंदी
Sanam ke kuche mein chhup ke jaana agarche yun hai KHayal dil ka | Shaahi Shayari
sanam ke kuche mein chhup ke jaana agarche yun hai KHayal dil ka

Ghazal

Sanam ke kuche mein chhup ke jaana agarche yun hai KHayal dil ka

Nazeer Akbarabadi

;

sanam ke kuche mein chhup ke jaana agarche yun hai KHayal dil ka
pa wo to jate hi taD lega phir aana hoga muhaal dil ka

guhar ne ashkon ke yan nikal kar jhamak dikhai jo apni har dam
to hum ne jaana ki motiyon se bhara hai pahlu mein qal dil ka

kabhi ishaarat kabhi lagawaT kabhi tabassum kabhi takallum
ye tarzen Thahren to hum se phir ho bhala ji kyunkar sambhaal dil ka

wo zulf-e-pur-pech-o-KHam hai us ki phansa to niklega phir na hargiz
hamara kahna hai sach are ji tu kaam us se na Dal dil ka

main lahza lahza hun khinch lata wo phir usi ki taraf hai jata
karun 'nazir' us ki fikr main kya hai ab to mere ye haal dil ka