اردو हिंदी
Sanam jab chira-e-zar-tar bandhe | Shaahi Shayari
sanam jab chira-e-zar-tar bandhe

Ghazal

Sanam jab chira-e-zar-tar bandhe

Siraj Aurangabadi

;

sanam jab chira-e-zar-tar bandhe
jhalak sin kucha-o-bazar bandhe

hazaron tegh-bandon kun kare qatl
KHam-e-abru ki jab talwar bandhe

jo dekhe ek-dam zahid teri zulf
gale mein zohd ka zunnar bandhe

talab ke uqda-e-mushkil kun khole
jo koshish ki kamar yakbar bandhe

jo kui gham ka hisar-e-qalb chahe
ghubar-e-ah sin diwar bandhe

jo dekhe gul-ruKHon ko ko la-ubaali
baja hai gar lab-e-izhaar bandhe

'siraj' aankhen kiya hai ghair sin band
ki ta dil mein KHayal-e-yar bandhe