اردو हिंदी
Sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam | Shaahi Shayari
sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam

Ghazal

Sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam

Siraj Aurangabadi

;

sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam
ki asl hasti-e-nabud hai adam ka adam

isi jahan mein goya mujhe bahisht mili
agar rakhoge mere par yahi karam ka karam

abhi to tum ne kiye the hamari jaan-baKHshi
phir ek dam mein wahi nimcha alam ka alam

wo gul-badan ka ajab hai mizaj-e-ranga-rang
fajar kun lutf to phir sham kun sitam ka sitam

na rakh 'siraj' kisi KHub-ru sen chashm-e-wafa
sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam