samundaron mein sarab aur KHushkiyon mein girdab dekhta hai
wo jagte aur rah chalte ajab ajab KHwab dekhta hai
kabhi to rishton ko KHun ke bhi fareb-e-wahm-o-guman samjha
kabhi wo narghe mein dushmanon ke hujum-e-ahbab dekhta hai
shanawari ras aae aisi samundaron mein hi ghar bana le
kabhi talash-e-guhar mein apne tain wo gharqab dekhta hai
kabhi taqaddus-e-tawaf ka sa kare hai tari wo jism o jaan par
saron pe girta hua kabhi lanaton ka mizab dekhta hai
Ghazal
Samundaron mein sarab aur KHushkiyon mein girdab dekhta hai
Siraj Ajmali