samundaron mein agar KHalfishaar-e-ab na ho
saron pe saya-fagan ye ghubar-e-ab na ho
wo aasman samajhta hai apni aankhon ko
use bhi meri tarah intizar-e-ab na ho
har ek lab pe hain naghmat KHushk-sali ke
ab is taraf karam-e-be-shumar-e-ab na ho
kahin fareb na nikle pukar dariya ki
hum aab samjhe hain jis ko ghubar-e-ab na ho
phir ehtimam se aae hain ghir ke abr magar
wo kya kare ki jise e'tibar-e-ab na ho
siyah hone laga hai dayar-e-tishna-labi
ab is maqam se raushan sharar-e-ab na ho
jo ghar se nikla hai pani ki khoj mein 'shahid'
kahin wo dafn sar-e-rahguzar aab na ho
Ghazal
Samundaron mein agar KHalfishaar-e-ab na ho
Shahid Meer