samundaron ko uThae phiri ghaTa barson
magar main pyas na apni bichha saka barson
bas itna yaad hai tujh se mila tha raste mein
phir apne aap se rahna paDa juda barson
main ek umr bhaTakta raha hun sahra mein
ki meri KHak uDati rahi hawa barson
hami ne daman-e-shab ko na hath se chhoDa
sahar ke git sunati rahi saba barson
nasim shaKH-e-gul-e-tar se kyun ulajhti hai
chaman mein phul agar phir na khil saka barson
tumhi ne rah-e-wafa par qadam rakha na kabhi
charagh ban ke main har moD par jala barson
kiran kiran mujhe parwaz ki nawed hai aaj
raha hun teri fazaon mein par-kusha barson
Ghazal
Samundaron ko uThae phiri ghaTa barson
Altaf Parwaz