samundar sar paTak kar mar raha tha 
to main jine ki koshish kar raha tha 
kisi se bhi nahin tha KHauf mujh ko 
main apne aap hi se Dar raha tha 
guzarish waqt se main ne na ki thi 
ki mera zaKHm KHud hi bhar raha tha 
hazaron sal ki thi aag mujh mein 
ragaDne tak main ek patthar raha tha 
tujhe us din ki choTen yaad hongi 
mujhe pahchan, tere ghar raha tha
        Ghazal
Samundar sar paTak kar mar raha tha
Fay Seen Ejaz

