اردو हिंदी
Samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi | Shaahi Shayari
samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi

Ghazal

Samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi

Nikhat Barelvi

;

samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi
hawa pur-shor hai lekin pareshani nahin koi

tajjub hai to bas apni wafadari ke jazbe par
hamein us ke badal jaane pe hairani nahin koi

tasalsul KHwab-e-KHush-asar ka yun TuT jaane par
tassuf hai magar ai dil pashimani nahin koi

hum apne aap hi ke dar pae aazar rahte hain
hamara hum se baDh kar dushman-e-jaani nahin koi

idhar aane se pahle hi hamein malum tha 'nikhat'
ye wo rasta hai jis raste mein aasani nahin koi