اردو हिंदी
Samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka | Shaahi Shayari
samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka

Ghazal

Samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka

Iqbal Haider

;

samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka
hamare shahr mein rahta hai lashkar aadamiyon ka

wahi sina-figari hai wahi be-e'tibari hai
badalta hi nahin hai yan muqaddar aadamiyon ka

zamin se aasman tak chha rahi hai KHun ki surKHi
chhupa hai KHair ke parde mein bhi shar aadamiyon ka

qayamat se bahut pahle qayamat kyun na ho barpa
jhuka hai aadmi ke samne sar aadamiyon ka

faqat chehre hi ab gard-e-kudurat se nahin dhundle
dilon ka aaina bhi hai mukaddar aadamiyon ka

zamin yunhi rahi gar be-gunahon ke lahu se tar
hawa ho jaega ek din samundar aadamiyon ka