اردو हिंदी
Samundar dasht par but kaTti hai | Shaahi Shayari
samundar dasht par but kaTti hai

Ghazal

Samundar dasht par but kaTti hai

Muneer Saifi

;

samundar dasht par but kaTti hai
musibat ko musibat kaTti hai

chhupaun sar to khul jata hai panw
zarurat ko zarurat kaTti hai

zamin karti hai baaten aasman se
yahan har shai ki qimat kaTti hai

maza foot-path ka puchho na yaro
imarat ki mujhe chhat kaTti hai

faqiri mein hai itna lutf yaro
ki mujh ko baadshahat kaTti hai

ghanimat jaaniye jangal mein basna
hamein ab aadamiyat kaTti hai

buzurgon ka kaha kab mante hain
ki bachchon ko nasihat kaTti hai

badan mein chubhti hain nazron ki kirchen
use logon ki niyyat kaTti hai

hua hun is qadar badnam 'saifi'
mujhe ab meri shohrat kaTti hai