samundar aankh se ojhal zara nahin hota
nadi ko Dar kisi chaTTan ka nahin hota
wo jab bhi rota hai main sath sath rota hun
maze ki baat hai us ko pata nahin hota
musafiron ke liye manzilen hi hoti hain
musafiron ke liye rasta nahin hota
tamasha-gah mein kis ka tamasha hota hai
tamash-binon ko us ka pata nahin hota
main roz phone par us ko sadaen deta hun
KHuda ke sath mera rabta nahin hota
jahan milen unhen sajda guzariye sahab
mohabbaton ke liye sochna nahin hota
wahan charagh jalata hun zindagi ka 'ashk'
jahan hawa ke liye rasta nahin hota
Ghazal
Samundar aankh se ojhal zara nahin hota
Parveen Kumar Ashk