samjhe hai mafhum nazar ka dil ka ishaara jaane hai
hum tum chup hain lekin duniya haal hamara jaane hai
halki hawa ke ek jhonke mein kaise kaise phul gire
gulshan ke gul-posh na jaanen gulshan sara jaane hai
sham-e-tamanna pichhle pahar tak dard ka aansu ban hi gai
sham ka tara kaise Duba subh ka tara jaane hai
kya kya hain aain-e-tamasha kya kya hain aadab-e-nazar
chashm-e-hawas ye sab kya jaane wo to nazara jaane hai
apne 'shamim'-e-ruswa ko tum jaano ho anjaan koi
basti sari pahchane hai sahra sara jaane hai

Ghazal
Samjhe hai mafhum nazar ka dil ka ishaara jaane hai
Shamim Karhani