اردو हिंदी
Samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko | Shaahi Shayari
samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko

Ghazal

Samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko

Mubarak Azimabadi

;

samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko
ye dosti samajhta hai dushman ke pyar ko

nikla chamak ke mohr-e-qayamat bhi aur hum
baiThe rahe chhupae dil daghdar ko

saqi na mai na jam na mina na mai-kada
aamad bahaar ki ho mubarak bahaar ko

kya kya bigaD mein bhi adaen hain dil-fareb
kitne banaw aate hain gesu-e-yar ko

naseh ka imtihan 'mubarak' ho ek din
thoDi pila ke dekhiye us hoshiyar ko