sambhal ke dekha to kanch sa jism kirchiyon mein baTa hua tha
KHabar nahin hai ki mere andar wo ek dhamaka sa kiya hua tha
wo kho gaya tha to yun laga tha ki izzat-e-nafs luT gai hai
main roz ke milne wale logon mein ek khilauna bana hua tha
KHizan ki wo sard raat bhi main ne ghar se bahar guzar di thi
ki mere bistar pe lash ban kar mera hi saya paDa hua tha
sab apni apni sada ke parcham supurd-e-shab kar ke so chuke the
bas ek main hi muhib lamhon ke lashkaron mein ghira hua tha
jise wo sanson ki loriyon se mere badan mein sula gai thi
palaT ke aai to wo chahakta sharir bachcha mara hua tha
ye ek parchhain si jo sadiyon se mere ham-rah chal rahi hai
yahi mera harf-e-ibtida hai main jis se ek din juda hua tha
Ghazal
Sambhal ke dekha to kanch sa jism kirchiyon mein baTa hua tha
Nisar Nasik