اردو हिंदी
Sambhal hi lenge musalsal tabah hon to sahi | Shaahi Shayari
sambhal hi lenge musalsal tabah hon to sahi

Ghazal

Sambhal hi lenge musalsal tabah hon to sahi

Kishwar Naheed

;

sambhal hi lenge musalsal tabah hon to sahi
azab-e-zist mein rashk-e-gunah hon to sahi

kahin to sahil-e-na-yaft ka nishan hoga
jala ke KHud ko taqaza-e-ah hon to sahi

majal kya ki na manzil bane nishan-e-wafa
safir-e-KHud-nigran gard-e-rah hon to sahi

sada-ba-dasht banegi na ye lahu ki tapish
lahu ke chhinTe magar gah gah hon to sahi