sambhaalne se tabiat kahan sambhalti hai
wo be-kasi hai ki duniya ragon mein chalti hai
ye sard-mehr ujala ye jiti-jagti raat
tere KHayal se taswir-e-mah jalti hai
wo chaal ho ki badan ho kaman jaisi kashish
qadam se ghat ada se ada nikalti hai
tumhein KHayal nahin kis tarah bataen tumhein
ki sans chalti hai lekin udas chalti hai
tumhaare shahr ka insaf hai ajab insaf
idhar nigah udhar zindagi badalti hai
bikhar gae mujhe sanche mein Dhaalne wale
yahan to zat bhi sanche samet Dhalti hai
KHizan hai hasil-e-hangama-e-bahaar 'KHizan'
bahaar phulti hai kaenat phalti hai
Ghazal
Sambhaalne se tabiat kahan sambhalti hai
Mahboob Khizan