اردو हिंदी
Samay ki dhup mein kaisa bhi ghussa sukh jata hai | Shaahi Shayari
samay ki dhup mein kaisa bhi ghussa sukh jata hai

Ghazal

Samay ki dhup mein kaisa bhi ghussa sukh jata hai

Pratap Somvanshi

;

samay ki dhup mein kaisa bhi ghussa sukh jata hai
magar main kya karun lahja bhi mera sukh jata hai

use talab jharne jhil se jhaDna zaruri hai
safar mein tanha chalne wala dariya sukh jata hai

bharosa ek marham ki tarah maujud rahta hai
agar ye pas ho to zaKHm sara sukh jata hai

usulon ki chamak jate hi chehra bujh gaya us ka
jaDen kaTte hi jaise peD sara sukh jata hai

koi kaisa bhi rishta ho nami behad zaruri hai
hawa rukhi ho to koi bhi pauda sukh jata hai