samajhte hain jo kamtar har kisi ko
wo samjhen to sahi apni kami ko
jahan mein juz gham-o-ranj-o-musibat
mila bhi hai azizo kuchh kisi ko
kahen bhi to kahen ab kya kisi se
sunaen to sunaen kya kisi ko
haqiqat mein nahin bante kisi ke
banate hain jo apna har kisi ko
na pa-e-raftan ab ne ja-e-madin
kahan tak roen apni bebasi ko
tajjub hai samajhne par bhi sab kuchh
na samjha aadmi ne aadmi ko
ziya-e-hazrat-e-'anwar' ne 'rifat'
jila baKHshi hai meri shairi ko
Ghazal
Samajhte hain jo kamtar har kisi ko
Sudarshan Kumar Vuggal