samajhte hain jo apne bap ki jagir miTTi ko
banaunga main un ke panw ki zanjir miTTi ko
hawa sath-e-zamin par ab KHat-e-gulzar khinchegi
ki KHush aati nahin hai abr ki tahrir miTTi ko
siyah paD jaegi zarron ki rangat ek hi pal mein
agar qismat se mil jae meri taqdir miTTi ko
jalali aaina ek aasman par mehr-e-taban hai
banaya hai zamin par sabr ki taswir miTTi ko
bajae KHak uDte hain sitare meri aankhon mein
ki ho jati hai aise kaam mein taKHir miTTi ko
use mismar karne mein koi mushkil nahin hogi
pasand aai hai shahr-e-KHwab ki tamir miTTi ko
bahut raunda gaya hai KHak ko aur KHak-zadon ko
ata ki jaegi ab ghaib se tauqir miTTi ko
kamal apna dikhaega tilismi aaina 'sajid'
ki ab darkar hai ek KHwab ki tabir miTTi ko
Ghazal
Samajhte hain jo apne bap ki jagir miTTi ko
Ghulam Husain Sajid