اردو हिंदी
Samajhta hun ki tu mujhse juda hai | Shaahi Shayari
samajhta hun ki tu mujhse juda hai

Ghazal

Samajhta hun ki tu mujhse juda hai

Firaq Gorakhpuri

;

samajhta hun ki tu mujh se juda hai
shab-e-furqat mujhe kya ho gaya hai

tera gham kya hai bas ye jaanta hun
ki meri zindagi mujh se KHafa hai

kabhi KHush kar gai mujh ko teri yaad
kabhi aankhon mein aansu aa gaya hai

hijabon ko samajh baiTha main jalwa
nigahon ko baDa dhoka hua hai

bahut dur ab hai dil se yaad teri
mohabbat ka zamana aa raha hai

na ji KHush kar saka tera karam bhi
mohabbat ko baDa dhoka raha hai

kabhi taDpa gaya hai dil tera gham
kabhi dil ko sahaara de gaya hai

shikayat teri dil se karte karte
achanak pyar tujh par aa gaya hai

jise chaunka ke tu ne pher li aankh
wo tera dard ab tak jagta hai

jahan hai maujzan rangini-e-husn
wahin dil ka kanwal lahra raha hai

gulabi hoti jati hain fazaen
koi is rang se sharma raha hai

mohabbat tujh se thi qabl-az-mohabbat
kuchh aisa yaad mujh ko aa raha hai

juda aaghaz se anjam se dur
mohabbat ek musalsal majra hai

KHuda-hafiz magar ab zindagi mein
faqat apna sahaara rah gaya hai

mohabbat mein 'firaq' itna na gham kar
zamane mein yahi hota raha hai