samajhne wala mera martaba samajhta hai
so farq paDta nahin kaun kya samajhta hai
ye teri chaaragari meri jaan le legi
na tu mujhe na mera masala samajhta hai
main apni maut ko ab zindagi samajhta hun
main kyun samajhta hun mera KHuda samajhta hai
main ab kahani se bahar nikalna chahta hun
kahani-kar mera muddaa samajhta hai
wo is liye bhi palaT kar kabhi na aaega
wo mera haal mera faisla samajhta hai
main kah raha hun mujhe thoDa soch kar samjho
ki ye lage mujhe koi KHala samajhta hai
zamana kuchh bhi samajhta nahin hai sach hai ye
isi liye to tujhe bhi mera samajhta hai
Ghazal
Samajhne wala mera martaba samajhta hai
inaam azmi