samajh sako to ye tishna-labi samundar hai
ba-qadr-e-zarf har ek aadmi samundar hai
ubhar ke Dub gai kashti-e-KHayal kahin
ye chand ek bhanwar chandni samundar hai
jo dastan na bane dard-e-bekaran hai wahi
jo aankh hi mein rahe wo nami samundar hai
na sochiye to bahut muKHtasar hai sail-e-hayat
jo sochiye to yahi zindagi samundar hai
tu is mein Dub ke shayad ubhar sake na kabhi
mere habib meri KHamushi samundar hai
Ghazal
Samajh sako to ye tishna-labi samundar hai
Shakeb Jalali

