samajh rahe the jise hum ki bewafa hoga
kise KHabar thi ki wo aadmi KHuda hoga
tumhaare pahle bhi aankhon mein intizar hi tha
tumhaare baad yahi hoga aur kya hoga
abhi bhi dard sa uThta hai mujh mein mumkin hai
zara sa ishq meri zat mein bacha hoga
main ek charagh hawa mein jala ke lauT aaya
phir us ke baad na jaane ki kya hua hoga
yahan ki aab-o-hawa mein ajab KHamoshi hai
tamam shahr kisi dasht par basa hoga
wahi nazare wahi log chal yahan se chalen
fasil-e-shahr ke bahar to kuchh naya hoga
Ghazal
Samajh rahe the jise hum ki bewafa hoga
Kuldeep Kumar