samajh raha hai teri har KHata ka hami mujhe
dikha raha hai ye aaina meri KHami mujhe
zaman ki qaid hai koi na hai makan ki KHabar
kahan kahan liye phirti hai tishna-kaami mujhe
nahin ki jurat-e-izhaar-e-ishq mujh mein nahin
tabah kar ke rahi meri nek-nami mujhe
koi nahin mera same isi mein KHush hun main
ki ras aai bahut meri KHud-kalami mujhe
maza mila na kabhi manzil-ashnai ka
kuchh aisa kar gai aawara tez-gami mujhe
hasin chehron ko tewari ke bal bigaDte hain
giran guzarti hai fitrat ki bad-nizami mujhe
sharab-e-tund ki talKHi ka zaiqa jaise
pasand aai hasinon ki bad-kalami mujhe
nashat-e-takya-e-zanu se sar uThane tak
sitara subh ka deta raha salami mujhe
main farsh-e-rah yunhi to nahin hua 'azar'
niDhaal kar ke rahi us ki KHush-KHirami mujhe
Ghazal
Samajh raha hai teri har KHata ka hami mujhe
Rashid Aazar

