samajh mein us ki maqam-e-bashar nahin aaya
jise KHud apne siwa kuchh nazar nahin aaya
rahegi pyasi ye dharti mere KHuda kab tak
ruten guzar gain baadal idhar nahin aaya
hazar chand sitaron ki sair kar aae
hamein zamin pe chalna magar nahin aaya
zamir bechna aasan sahi magar yaro
KHata muaf hamein ye hunar nahin aaya
bhale the din to hazaron the gird-o-pesh mere
paDa jo waqt to koi nazar nahin aaya
ye saneha hai mere ahd ka ki jab dekha
koi bhi shahr mein muKHlis nazar nahin aaya
abhi se kis liye pathraw ka saman hai 'shafiq'
abhi to phal bhi koi peD par nazar nahin aaya

Ghazal
Samajh mein uski maqam-e-bashar nahin aaya
Shafiq Aazmi