samajh mein aati hai baadal ki aah-o-zari ab
wo mehrban mujhe bhi bahut rulata hai
mumasalat hi nahin sath rahne walon mein
koi batae mujhe kis se mera nata hai
laga ki qufl mere KHwab ke darichon ko
tera KHayal azabon se kyun Daraata hai
samajh mein aata nahin zinda hain ki murda hain
kabhi to marta hai aur kabhi jilata hai
hazaron tare hain teri hatheliyon mein magar
tu aa ke ghar se mere chand kyun churaata hai
Ghazal
Samajh mein aati hai baadal ki aah-o-zari ab
Shaista Yusuf