samajh ke rasta idhar se guzarne walon ne
kahin ka chhoDa na dil se utarne walon ne
bane-banae hue raston pe chalte hue
KHuda banae KHudai se Darne walon ne
hazar chhed kiye jholiyon mein apnon ki
tumhaare nam pe KHairaat karne walon ne
tawil umr ki Dheron duaen bheji hain
mere charagh ko pani se bharne walon ne
hamari aankh mein ek bund bhi nahin chhoDi
misal-e-abr falak par ubharne walon ne
ye kis tarah ke ajab wahimon mein Dal diya
sharab o shahd ki tasdiq karne walon ne
zaban-bandi pe majbur ho gai duniya
wo khel khela hai hairat se marne walon ne
charagh-e-rah ko ghaarat-gari sikhai hai
hawa-e-shahr pe ilzam dharne walon ne
Ghazal
Samajh ke rasta idhar se guzarne walon ne
Azlan shah