samajh ke hur baDe naz se lagai choT
jo us ne aaina dekha to KHud hi khai choT
nazar laDi jo nazar se to dil par aai choT
gire kalim sar-e-tur aisi khai choT
labon pe ban gai missi jo dil par aai choT
jagah badal ke lagi karne KHud-numai choT
baDe dimagh se mara nazar se jab mara
baDe ghurur se aai jo dil par aai choT
kisi ka tur pe nikla hai hath parde se
baDa maza ho kare gar teri kalai choT
ye dauD-dhup laDakpan ki yak qayamat hai
ki Thokaron se qayamat ne KHub khai choT
abhi uThi na thi nichi nigah zalim ki
taDap ke dil ne kaha wo jigar pe aai choT
jo aae hashr mein wo sab ko marte aae
jidhar nigah phiri choT par lagai choT
jo dil ka aaina mal mal ke hum ne saf kiya
phisal phisal ke tumhaari nazar ne khai choT
cluff nahin hai nishan hai ye chand-mari ka
hamare chand ne lo chand par lagai choT
ghash aa raha hai mujhe zikr-e-lan-tarani se
lagi hai dil pe mere lo suni-sunai choT
rukenge kya kaf-e-gustaKH dast-e-rangin se
kahin na khae tera panja-e-hinai choT
dil-o-jigar ko bata kar wo loTna mera
wo puchhna tera kis kis jagah par aai choT
mariz-e-hijr ye samjha jo chamki charKH pe barq
ye aag senkne lai shab-e-judai choT
uThe taDap ke uThe to gire gire to mare
phaDak ke rah gae wo choT par lagai choT
paDegi aah jo meri khulenge band-e-qaba
shab-e-visal karegi girah-kushai choT
gira hun KHuld se lanka mein pahle tur pe baad
jahan jahan main gaya sath sath aai choT
wo jhank jhank ke laDte hain mujh se ye kah kar
jo hum ne war kiya tum ne kyun bachai choT
jo dard dil mein uTha un ki yaad khich aai
dikhati hai asar-e-jazb-e-kahrubai choT
uTha uTha ke dil-e-muztarib ne de Tapka
gira gira ke mujhe choT par lagai choT
nigah-e-shoKH se jis dam nigah-e-shauq laDi
baDa hi lutf raha ye gai wo aai choT
lagai us ne jo Thokar to ji uTha 'mail'
nikal ke jaan phir aai kuchh aisi khai choT
Ghazal
Samajh ke hur baDe naz se lagai choT
Ahmad Husain Mail