samajh ke farz kabhi din ko raat mat karna
guzarte lamhon se taqsim zat mat karna
bacha kar tez hawa mein bikharna paDta hai
ana ko nazar gham-e-hadsat mat karna
na jaane kaun kahan kya sawal kar baiThe
ghubar-e-rahguzar apne sath mat karna
sameTna na sar-e-rah KHwab ki kirchen
lahu-luhan kabhi apne hath mat karna
nahin gunah kisi shai ki aarzu lekin
is aarzu ko gham-e-kaenat mat karna
hain darmiyan mein abhi fasle usulon ke
qarib aa ke abhi mujh se baat mat karna
zawal-e-zat to 'parwaz' sab ki qismat hai
yaqin-e-dil ko magar be-sabaat mat karna
Ghazal
Samajh ke farz kabhi din ko raat mat karna
Naseer Parwaz