saloni sham ke aangan mein jab do waqt milte hain
bhaTakte hum se un sayon mein kuchh aadhe adhure hain
samundar hai hamare samne maghrur-o-KHud-sar sa
hamein ek pul bana kar fasle sab par karne hain
andheron se ujalon tak ujalon se andheron tak
sada gardish hi gardish hai kahan jaane wo pahunche hain
zamin ke phul sone aur chandi se nahin khilte
kisi mehnat ki KHushbu se sabhi aanchal mahakte hain
wahi hain sanp wishkanya ko Das kar palne wale
meri nagri ko rah rah kar wo ab bhi zahr dete hain
har ek ehsas ki pahchan KHatt-o-KHal kho baiThi
wo apne aap mein Dube hue gum-sum se rahte hain
Ghazal
Saloni sham ke aangan mein jab do waqt milte hain
Deepak Qamar