'salim' dil ko mayassar sakun zara na hua
agarche tark-e-mohabbat ko ek zamana hua
wo be-KHudi thi mohabbat ki be-ruKHi to na thi
pe us ko tark-e-talluq ko ek bahana hua
usi se dad ka talib hun ru-ba-ru jis ke
bayan-e-dard-e-mohabbat bhi ek fasana hua
wo chob-e-KHushk hun mahrum-e-atish-e-sozan
ki bin jalae jise qafila rawana hua
nashat-e-dard mein fursat kahan ki ghaur karen
'salim' kya hua ulfat mein aur kya na hua

Ghazal
Salim dil ko mayassar sakun zara na hua
Saleem Ahmed