'salim' dasht-e-tamanna mein kaun hai kis ka
yahan to ishq bhi tanha hai husn bhi tanha
bane wo baat ki ahl-e-wafa ke din phir jaen
mizaj-e-yar ki surat badal chale duniya
uDa ke le hi gain bu-e-pairahan! tera
subuk-KHiram hawaon pe koi bas na chala
mizaj-e-ishq ho manus-e-zindagi itna
ki misl-e-KHalwat-e-mahbub ho bhari duniya
misal-e-subh meri KHalwaton mein kaun aaya
wo raushni hai ki palken jhapak rahi hai faza
hamin pe jab na tawajjoh hui to hum ko kya
bala se aap kisi ke liye hon qahr-o-bala
wo tu hai yaad teri hai ki meri hasrat hai
ye kaun hai mere sine mein siskiyan leta
kuDhe to apni jagah KHush rahe to apni jagah
'salim' hum ne kisi se na kuchh kaha na suna

Ghazal
Salim dasht-e-tamanna mein kaun hai kis ka
Saleem Ahmed