salib lad ke kandhe pe chal raha hun main
hisar-e-zat se bahar nikal raha hun main
hayat DhunDhti phirti hai mujh ko sar-gardan
adhura jism liye ruKH badal raha hun main
bana diya hai zamane ne mujh ko patthar sa
ki zarb-e-tesha se aatish ugal raha hun main
meri nigah mein duniya chita ki rakh si hai
isi KHayal ke shoalon mein jal raha hun main
bula rahi hai mujhe apne ghar ki virani
miyan-e-shor-e-salasil machal raha hun main
zamana DhunDega mujh ko dur-e-sadaf ki tarah
ki bund bund samundar mein Dhal raha hun main
Ghazal
Salib lad ke kandhe pe chal raha hun main
Satya Nand Java