اردو हिंदी
Salib-e-mauja-e-ab-e-hawa pe likkha hun | Shaahi Shayari
salib-e-mauja-e-ab-e-hawa pe likkha hun

Ghazal

Salib-e-mauja-e-ab-e-hawa pe likkha hun

Farooq muztar

;

salib-e-mauja-e-ab-e-hawa pe likkha hun
azal se ta-ba-abad harf harf bikhra hun

wajud wahm mera ham-safar raha din bhar
fasil-e-sham se dekha to saya saya hun

sameT lenge kisi din nigah mausam ki
shajar shajar pe abhi apna nam likhta hun

chahaar samt ghira hun main paniyon mein yahan
mera ye karb ki ek Dubta jazira hun

hawa ke sath kahan tak uDan bharta hun
hudud-e-jism mein ek par-kaTa parinda hun