salib-e-dard pe wara gaya tha kyun mujh ko
gham-e-firaq se mara gaya tha kyun mujh ko
kisi KHayal kisi KHwab ke jazire par
tamam umr guzara gaya tha kyun mujh ko
palaT raha tha dar-e-KHwab se jo KHali hath
to bar bar pukara gaya tha kyun mujh ko
kaf-e-guman se jo girna tha umr bhar ke liye
to ek pal ko saraha gaya tha kyun mujh ko
agar nahin tha yahan koi muntazir mera
to phir falak se utara gaya tha kyun mujh ko
kisi ne meri taraf dekhna na tha 'KHurshid'
to be-sabab hi sanwara gaya tha kyun mujh ko
Ghazal
Salib-e-dard pe wara gaya tha kyun mujhko
Khurshid Rabbani